gilā  nahīñ  ki  kināroñ  ne  saath  chhoḌ  diyā
mire  safīne  kā  dhāroñ  ne  saath  chhoḌ  diyā
rah-e-hayāt  meñ  manzil  kā  aasrā  kaisā
qadam  qadam  pe  ġhubāroñ  ne  saath  chhoḌ  diyā
har  ek  ruḳh  se  sajā  hotā  zindagī  ko  magar
maiñ  kyā  karūñ  ki  bahāroñ  ne  saath  chhoḌ  diyā
udaas  dil  ne  agar  giit  gungunāyā  bhī
shikasta-sāz  ke  tāroñ  ne  saath  chhoḌ  diyā
sulag  rahī  hai  abhī  tak  vo  aag  siine  meñ
lagā  ke  jis  ko  sharāroñ  ne  saath  chhoḌ  diyā
nazar-navāz  mazāq-e-nazar  na  'zeb'  huā
tire  latīf  ishāroñ  ne  saath  chhoḌ  diyā