Abdullah Kamal

hasin KHwab na de ab yaqin-e-sada de

Abdullah Kamal

Muzaffarpur, Bihar, India

1948-2010
hasīn ḳhvāb na de ab yaqīn-e-sāda de
mire vajūd ko yā rab nayā labāda de
ġham-e-hayāt ko phailā de āsmānoñ tak
dil-e-tabāh ko vus.at bhī kuchh ziyāda de
mujhe qarār na de tū pas-e-ġhubār-e-nafas
maiñ shah-savār huuñ maidān bhī kushāda de
na chhīn mujh se mirā zauq-e-ḳhud-navardī bhī
mire qadam ko bhī manzil na de irāda de
mire rafīqoñ ko de hausla ki sañg uThā.eñ
mire ḳhulūs ko har sañg-e-sad-ifāda de
mire harīfoñ ke dam-ḳham meñ ho kamī to unheñ
mire ġhurūr se taufīq-e-istifāda de
chamak de chāñd ko ThanDak havā ko dil ko umañg
udaas qisse ko phir ek shāhzāda de
ki merī zaat bhī jis meñ dhuāñ dhuāñ ho jaa.e
kabhī kabhī mujhe vo sajda be-irāda de
utaar de mirī rag rag meñ phir se sabz lahū
sukūt-e-dasht ko phir shorish-e-i.āda de
Top Urdushayar.com