in hoñToñ ne pūchhā us peshānī se
tum to ham ko bhuul ga.e āsānī se
barf kā TukḌā dhuup meñ rakh kar soch rahe
ya.anī paanī niklegā ab paanī se
yaar añdherā kar pahle is kamre meñ
chaḌh jaatā huuñ varna maiñ uryānī se
lījiye ik misre meñ saarā afsāna
ik taare ko hijr milā tābānī se
aaj kā majnūñ kyā kartā hai dekhoge
mujh ko bāhar aane do vīrānī se
is laḌke ne kis se ishq kiyā hogā
logoñ ne dekhā ham ko hairānī se