Syeda Nafis Bano shama

husn-e-yusuf kise kahte hain zuleKHa kya hai

Syeda Nafis Bano shama

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1957
husn-e-yūsuf kise kahte haiñ zuleḳhā kyā hai
ishq ik ramz hai nādāñ abhī samjhā kyā hai
falsafe ishq ke ab kaun kise samjhā.e
har taraf us kī tajallī hai to pardā kyā hai
tū ne dekhe to bahut hoñge umaDte sāgar
merī āñkhoñ se kabhī pūchh ki dariyā kyā hai
yaar ke jalvoñ meñ īmān mukammal kar luuñ
merī jannat hai yahīñ arsh pe rakkhā kyā hai
'sham.a' itnā to kabhī us kī samajh meñ aa.e
Dūbtī kashtī kā sāhil se taqāza kyā hai
Top Urdushayar.com