yādash-ba-ḳhair  hai  vahī  chehra  ḳhayāl  meñ
sau  jannateñ  javān  haiñ  goyā  ḳhayāl  meñ
kis  shaan  se  sharīk  tirī  anjuman  meñ  haiñ
baiThe  hoñ  jaise  ham  kahīñ  tanhā  ḳhayāl  meñ
guzrā  hai  ishq  hī  meñ  ye  aalam  bhī  muddatoñ
thī  shaam  zehn  meñ  na  saverā  ḳhayāl  meñ
dekhā  thā  ḳhvāb  meñ  unheñ  nādim  to  kyā  kaheñ
kyuuñ  ab  tak  aa  rahā  hai  pasīna  ḳhayāl  meñ
allāh  re  ye  maqām  tire  tishna-kām  kā
sūkhe  paḌe  haiñ  saare  hī  dariyā  ḳhayāl  meñ
jugnū  se  yak-ba-yak  jo  fazā  meñ  chamak  uThe
ye  kaun  thā  abhī  abhī  kyā  thā  ḳhayāl  meñ
ai  'dil'  ajab  vo  shahr-e-sitam  thā  ki  aaj  tak
hai  koī  adh-khulā  sā  darīcha  ḳhayāl  meñ