phir  marhala-e-ḳhvāb-e-bahārāñ  se  guzar  jā
mausam  hai  suhānā  to  garebāñ  se  guzar  jā
shīshe  ke  makāñ  aur  nazar  ke  mutahammil
dīvāna  na  ban  shahr-e-nigārāñ  se  guzar  jā
sab  qatl  ke  asbāb  baham  haiñ  sar-e-maqtal
aise  meñ  pas-o-pesh  na  kar  jaañ  se  guzar  jā
phir  deñge  vahī  mashvara-e-tark-e-mohabbat
ahbāb-numā  halqa-e-yārāñ  se  guzar  jā
kuchh  duur  nahīñ  manzil-e-maqsūd-e-tamannā
ik  fāsla-e-qurb-e-rag-e-jāñ  se  guzar  jā
ai  'dil'  inheñ  idrāk  kahāñ  namratiyoñ  kā
jo  kahte  haiñ  pal  bhar  meñ  bayābāñ  se  guzar  jā