hasīñ  hai  shahr  to  ujlat  meñ  kyuuñ  guzar  jaa.eñ
junūn-e-shauq  use  bhī  nihāl  kar  jaa.eñ
ye  aur  baat  ki  ham  ko  nazar  nahīñ  aa.e
magar  vo  saath  hī  rahtā  hai  ham  jidhar  jaa.eñ
hayāt-e-ishq  kā  maqsūd  ban  ga.ī  āḳhir
ye  aarzū  ki  tirā  naam  le  ke  mar  jaa.eñ
ye  rāh-e-ishq  hai  āḳhir  koī  mazāq  nahīñ
sa.ūbatoñ  se  jo  ghabrā  ga.e  hoñ  ghar  jaa.eñ
pahuñch  ke  manzil-e-maqsūd  par  hī  dam  leñge
ki  chal  paḌe  haiñ  to  kis  muñh  se  lauT  kar  jaa.eñ