saare  nuqūsh  jis  pe  tire  āshiyāñ  ke  haiñ
dair-o-haram  ġhubār  usī  kārvāñ  ke  haiñ
vādi-e-kohsār-o-bayābāñ-o-gulistāñ
ajzā-e-rañg-rañg  mirī  dāstāñ  ke  haiñ
har  chand  kū-e-yār  bahut  fāsle  pe  hai
badle  hue  abhī  se  mizāj  āsmāñ  ke  haiñ
hamdam  hañsī  uḌā  na  dil-e-dāġh-dāġh  kī
tohfe  diye  hue  ye  kisī  mehrbāñ  ke  haiñ
hoñ  zehn  ke  darīche  agar  vā  to  dekh  le
parvarda  sab  yaqīñ  mire  husn-e-gumāñ  ke  haiñ
kyā  dushmanoñ  kī  kījiye  ai  'dil'  shikāyateñ
maare  hue  to  ham  karam-e-dostāñ  ke  haiñ