maiñ  sirf  vo  nahīñ  jo  nazar  aa  gayā  tujhe
muzhda  phir  izn-e-bār-e-digar  aa  gayā  tujhe
sahrā  meñ  jaan  dene  ke  mauqe  to  ab  bhī  haiñ
vo  kyā  junūñ  thā  le  ke  jo  ghar  aa  gayā  tujhe
pahle  kabhī  to  maut  ko  tujh  se  gila  na  thā
jiine  kā  aaj  kaise  hunar  aa  gayā  tujhe
is  daur  meñ  ye  faḳhr  bhī  kis  ko  nasīb  hai
chehra  to  ā.īne  meñ  nazar  aa  gayā  tujhe
is  shahr  meñ  to  kuchh  nahīñ  rusvā.ī  ke  sivā
ai  'dil'  ye  ishq  le  ke  kidhar  aa  gayā  tujhe