Sarfraz Arish

na koi mamnua dana khana na KHauf dil mein utarna tha

Sarfraz Arish

na koī mamnuā daana khānā na ḳhauf dil meñ utārnā thā

jo ham ne pahlā gunah kiyā thā kisī naqleñ utārnā thā

jadīd duniyā meñ aane vāloñ pahlī muDbheḌ ham se hotī

hamāre unit kaam un ke badan se mohreñ utārnā thā

ḳhudā na hotā to kārvān-e-jahāñ meñ apnī jagah na bantī

ki in dinoñ meñ hamārā pesha safar meñ nazreñ utārnā thā

ham aise lafzoñ ke kārīgar the ki manDiyoñ meñ hamārā Thekā

shu.ūr-e-kuza-garī ḳhātir varaq pe shakleñ utārnā thā

hamāre logoñ ne bāhamī mashvare se mil kar bujhā diye the

vo diip jin ke hasab nasab meñ zamīñ pe sub.heñ utārnā thā

hamārī ghaḌiyoñ pe shaam hone meñ pāñch bajne meñ din paḌe the

so ham ko chhuTTī se pahle ḳhud ko kisī lahad meñ utārnā thā

kisī ke lahje chaaT aisī lagī ki apnā shi.ār 'ārish'

mukālme ke junūñ meñ ḳhud par udaas nazmeñ utārnā thā

Top Urdushayar.com