Sarfraz Arish

har shaKHs bad-hawas KHabar ke sabab se tha

Sarfraz Arish

har shaḳhs bad-havās ḳhabar ke sabab se thā
kashtī meñ intishār bhañvar ke sabab se thā
āñkheñ badan baġhair aur āñkhoñ meñ ek ḳhvāb
mahrūmī-e-ma.āl safar ke sabab se thā
bīnā.ī ke ġhubār se manzar meñ dhuul thī
vo aa.ina sarāb nazar ke sabab se thā
itnā qalīl bosa ki ehsās-e-lams bhī
ḳhud-sāḳhta nashe ke asar ke sabab se thā
varna saḌak kī meḌ Thahartī qusūr-vār
sad imtinān hādisa Dar ke sabab se thā
khiḌkī se raushnī kī vazāhat pe ye khulā
dīvār kā javāz to ghar ke sabab se thā
miTTī ke martabe kā khulā e'tirāf thā
merā zamīñ ko bosa shajar ke sabab se thā
Top Urdushayar.com