Kaleem Aajiz

haqiqaton ka jalal denge sadaqaton ka jamal denge

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015
haqīqatoñ kā jalāl deñge sadāqatoñ kā jamāl deñge
tujhe bhī ham ai ġham-e-zamāna ġhazal ke sāñche meñ Dhaal deñge
tapish patiñgoñ ko baḳhsh deñge lahū charāġhoñ meñ Dhaal deñge
ham un kī mahfil meñ rah ga.e haiñ to un kī mahfil sambhāl deñge
na banda-e-aql-o-hosh deñge na ahl-e-fikr-o-ḳhayāl deñge
tumhārī zulfoñ ko jo darāzī tumhāre āshufta-hāl deñge
ye aql vaale isī tarah se hameñ fareb-e-kamāl deñge
junūñ ke dāman se phuul chun kar ḳhirad ke dāman meñ Daal deñge
hamārī āshuftagī salāmat sulajh hī jā.egī zulf-e-daurāñ
jo pech-o-ḳham rah gayā hai baaqī vo pech-o-ḳham bhī nikāl deñge
janāb-e-shaiḳh apnī fikr kiije ki ab ye farmān-e-barhaman hai
butoñ ko sajda nahīñ karoge to but-kade se nikāl deñge
Top Urdushayar.com