Kaleem Aajiz

haqiqaton ka jalal denge sadaqaton ka jamal denge

Kaleem Aajiz

Patna, Bihar, India

1924-2015

haqīqatoñ jalāl deñge sadāqatoñ jamāl deñge

tujhe bhī ham ai ġham-e-zamāna ġhazal ke sāñche meñ Dhaal deñge

tapish patiñgoñ ko baḳhsh deñge lahū charāġhoñ meñ Dhaal deñge

ham un mahfil meñ rah ga.e haiñ to un mahfil sambhāl deñge

na banda-e-aql-o-hosh deñge na ahl-e-fikr-o-ḳhayāl deñge

tumhārī zulfoñ ko jo darāzī tumhāre āshufta-hāl deñge

ye aql vaale isī tarah se hameñ fareb-e-kamāl deñge

junūñ ke dāman se phuul chun kar ḳhirad ke dāman meñ Daal deñge

hamārī āshuftagī salāmat sulajh jā.egī zulf-e-daurāñ

jo pech-o-ḳham rah gayā hai baaqī vo pech-o-ḳham bhī nikāl deñge

janāb-e-shaiḳh apnī fikr kiije ki ab ye farmān-e-barhaman hai

butoñ ko sajda nahīñ karoge to but-kade se nikāl deñge

Top Urdushayar.com