Waheeda Naseem

sitam hai dil ke dhaDakne ko bhi qarar kahen

Waheeda Naseem

sitam hai dil ke dhaḌakne ko bhī qarār kaheñ

tumhāre jabr ko apnā iḳhtiyār kaheñ

sukūñ vahī hai jise chāra-gar sukūñ kah deñ

kahāñ ye izn ki kuchh tere be-qarār kaheñ

chhupā.eñ dāġh-e-jigar phuul jitnā mumkin ho

kahīñ na ahl-e-nazar un ko dil-figār kaheñ

fazā hai un chaman un ke āshiyāñ un ke

ḳhizāñ ke zaḳhm ko jo ġhuncha-e-bahār kaheñ

piye haiñ ashk hazāroñ to lab pe aa.ī hai

vo ik hañsī ki jise farz-e-nāgavār kaheñ

añdherī shab meñ jaleñge charāġh ban ban ke

vo naqsh-e-pā ki jinheñ raah ġhubār kaheñ

samajh sakegā vahāñ kaun rāz-e-mai-ḳhāna

'nasīm' tishna-labī ko jahāñ ḳhumār kaheñ

Top Urdushayar.com