Khaavar Jilani

raft o aamad bana raha hun main

Khaavar Jilani

raft o aamad banā rahā huuñ maiñ
rāh-e-maqsad banā rahā huuñ maiñ
kaam meñ lā ke kuchh ḳhas-o-ḳhāshāk
apnī masnad banā rahā huuñ maiñ
zindagī jurm to nahīñ lekin
ho ke sarzad banā rahā huuñ maiñ
yūñhī bekār maiñ paḌā ḳhud ko
kār-āmad banā rahā huuñ maiñ
goyā apnī hudūd se baḌh kar
apnī sarhad banā rahā huuñ maiñ
kar rahā huuñ hayāt-e-nau ta.amīr
apnā marqad banā rahā huuñ maiñ
de rahā huuñ jilā sharāroñ ko
ḳhud ko mūbad banā rahā huuñ maiñ
maah kī aaj phir gahan ban kar
tāb-e-asvad banā rahā huuñ maiñ
munharif ho ke us kī chāhat se
ḳhud ko murtad banā rahā huuñ maiñ
vo ki ban pā nahīñ rahā mujh se
jo ki shāyad banā rahā huuñ maiñ
ug rahā huuñ maiñ aur saath apne
sar pe bargad banā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com