raft  o  aamad  banā  rahā  huuñ  maiñ
rāh-e-maqsad  banā  rahā  huuñ  maiñ
kaam  meñ  lā  ke  kuchh  ḳhas-o-ḳhāshāk
apnī  masnad  banā  rahā  huuñ  maiñ
zindagī  jurm  to  nahīñ  lekin
ho  ke  sarzad  banā  rahā  huuñ  maiñ
yūñhī  bekār  maiñ  paḌā  ḳhud  ko
kār-āmad  banā  rahā  huuñ  maiñ
goyā  apnī  hudūd  se  baḌh  kar
apnī  sarhad  banā  rahā  huuñ  maiñ
kar  rahā  huuñ  hayāt-e-nau  ta.amīr
apnā  marqad  banā  rahā  huuñ  maiñ
de  rahā  huuñ  jilā  sharāroñ  ko
ḳhud  ko  mūbad  banā  rahā  huuñ  maiñ
maah  kī  aaj  phir  gahan  ban  kar
tāb-e-asvad  banā  rahā  huuñ  maiñ
munharif  ho  ke  us  kī  chāhat  se
ḳhud  ko  murtad  banā  rahā  huuñ  maiñ
vo  ki  ban  pā  nahīñ  rahā  mujh  se
jo  ki  shāyad  banā  rahā  huuñ  maiñ
ug  rahā  huuñ  maiñ  aur  saath  apne
sar  pe  bargad  banā  rahā  huuñ  maiñ