mufassal  dāstāneñ  muḳhtasar  kar  ke  dikhā.eñge
tavālat  umr  bhar  kī  jast  bhar  kar  ke  dikhā.eñge
jo  sapne  dekh  rakkhe  haiñ  jahān-e-dīda-e-vā  ne
unheñ  ta.abīr  ke  zer-e-asar  kar  ke  dikhā.eñge
ye  vo  nam-nākiyāñ  haiñ  jo  havā  deñgī  alaav  ko
ye  vo  aañsū  haiñ  jo  ḳhud  ko  sharar  kar  ke  dikhā.eñge
bharosa  rah  gayā  kuchh  ḳhaak  ko  ham  par  agar  to  ham
fanā  ke  sāmne  jīvan  basar  kar  ke  dikhā.eñge
talaffuz  par  na  ho  mauqūf  jab  kuchh  to  ma.ānī  ko
kisī  ke  lafz  kyā  zer-o-zabar  kar  ke  dikhā.eñge
ye  bādal  kyā  dikhā.eñge  havā  ko  mushta.il  ho  kar
ye  patte  peḌ  ko  kyā  dar-ba-dar  kar  ke  dikhā.eñge
ijāza  ho  gayā  mojaz-bayānī  kā  to  ham  tere
isī  tuḳhm-e-tahayyur  ko  shajar  kar  ke  dikhā.eñge
agar  pātāl  ban  jā.egā  us  kī  tah  meñ  utreñge
agar  choTī  banegā  us  ko  sar  kar  ke  dikhā.eñge
gumāñ  jo  os  ke  qatroñ  kī  sūrat  haiñ  abhī  'ḳhāvar'
kisī  din  vo  tumheñ  ḳhud  ko  bhañvar  kar  ke  dikhā.eñge