sar-e-īzā-rasānī  chal  rahī  hai
tabī.at  meñ  girānī  chal  rahī  hai
isī  dil  ke  hazāroñ  vasvasoñ  meñ
vahī  dhaḌkan  purānī  chal  rahī  hai
chalā  jaatā  hai  har  ik  chal-chalāv
jo  shai  hai  ānī-jānī  chal  rahī  hai
maiñ  barg-e-ḳhushk  huuñ  hamrāh  mere
huā  kī  bad-gumānī  chal  rahī  hai
badan  meñ  saañs  kī  sūrat  yaqīnan
koī  naql-e-makānī  chal  rahī  hai
bahut  hī  muḳhtasar  sī  zindagī  meñ
baḌī  lambī  kahānī  chal  rahī  hai
abhī  vo  saath  hai  mere  so  mujh  par
ḳhudā  kī  mehrbānī  chal  rahī  hai
sabhī  kirdār  thak  kar  so  ga.e  haiñ
magar  ab  tak  kahānī  chal  rahī  hai
ḳhayāl  aatā  thā  us  kā  jis  ravish  par
ab  us  par  be-ḳhayālī  chal  rahī  hai