ruuh  ke  dāman  se  apnī  duniyā-dārī  bāñdh  kar
chal  rahe  haiñ  dam-ba-dam  āñkhoñ  pe  paTTī  bāñdh  kar
ye  kahānī  ek  aise  sar-phire  mausam  kī  hai
ḳhushk  pattoñ  se  jo  le  aayā  thā  āñdhī  bāñdh  kar
haq  agar  koī  numū  kā  thā  to  vo  us  ne  adā
kar  diyā  hai  bādaloñ  se  ābyārī  bāñdh  kar
sub.h  hotī  hai  to  kunj-e-ḳhush-gumānī  meñ  kahīñ
pheñk  dī  jaatī  hai  shab  bhar  kī  siyāhī  bāñdh  kar
ai  mire  dariyā  agar  koī  bharosa  ho  tirā
chhoḌ  jā.ūñ  maiñ  tirī  lahroñ  se  kashtī  bāñdh  kar
gaam  uThte  hī  safar  ne  paaT  dī  saarī  ḳhalīj
rah-ravī  ne  Daal  dī  ik  samt  duurī  bāñdh  kar
maiñ  sarāsar  ek  andesha  huuñ  naqs-e-amn  kā
mujh  ko  rakhtā  hai  lihāzā  merā  qaidī  bāñdh  kar
ijz-goī  par  paḌāv  Daal  detī  hai  mirī
lafz-yābī  mānaviyat  se  hai  titlī  bāñdh  kar
khil  rahe  haiñ  sar-zamīn-e-dil  pe  jazboñ  ke  gulāb
uḌ  rahī  hai  aaj  ḳhushbū  ḳhud  se  titlī  bāñdh  kar
jaane  siine  meñ  bikā.ū  shai  hai  kyā  jis  ke  liye
dauḌtī  phirtī  haiñ  sāñseñ  rez-gārī  bāñdh  kar
vā  hue  hote  darīche  aaj  imkānāt  ke
gar  na  rakh  detī  hameñ  apnī  masā.ī  bāñdh  kar