hamesha  kī  tarah  bāñheñ  mirī  patvār  karne  kā
kiyā  hai  faisla  naav  ne  dariyā  paar  karne  kā
vahī  hai  mashġhala  sadiyoñ  purānā  aaj  bhī  apnā
zamīñ  par  bojh  hone  āsmāñ  ko  baar  karne  kā
safar  kā  marhala  to  ba.ad  meñ  mahl-e-nazar  hogā
abhī  to  mudda.ā  hai  rāsta  pur-ḳhār  karne  kā
ta.alluq  TūTtā  jaatā  hai  apne-āp  se  merā
tavassut  ban  rahī  hai  āgahī  bezār  karne  kā
mujhe  rakhtī  hai  mushkil  roz-marra  kī  sahūlat  meñ
mirā  ma.amūl  hai  āsāniyāñ  dushvār  karne  kā
tamaddun  ko  havā  detī  hai  āshufta-sarī  merī
mujhe  ta.amīr  kartā  hai  junūñ  mismār  karne  kā
kahāñ  tak  aur  jaane  āzmātī  jā.egī  mujh  par
hunar  jo  jāntī  hai  shā.erī  bekār  karne  kā
vo  kuchh  se  kuchh  banā  Dālegā  taslīmat  ke  ma.anī
salīqa  aa  gayā  us  ko  agar  inkār  karne  kā
na  jaane  soch  kar  sūraj  ne  kyā  shab  kī  qalam-rau  par
irāda  multavī  hī  kar  diyā  yalġhār  karne  kā