Khaavar Jilani

nafe hai kuchh to wo kisi faizan hi ka hai

Khaavar Jilani

naafe hai kuchh to vo kisī faizān hī kā hai
varna ta.alluqā mirā nuqsān hī kā hai
kulfat hai sab kī sab ye tavaqqo ke naam kī
jo bhī kiyā dharā hai ye imkān hī kā hai
māl-o-manāl dast-gah-e-hādsāt kā
rahte haiñ gar bahāl to ausān hī kā hai
manzar vo hai ki jo kabhī shashdar na kar sake
hairat ye hai ki dīda-e-hairān hī kā hai
ilzām ḳhud huuñ maiñ yahāñ hastī ke naam par
merā vajūd asl meñ bohtān hī kā hai
tafsīl meñ to simTā huā hī thā inkisār
ijmāl bhī ye ijz ke unvān hī kā hai
āḳhir ayaañ huā ki marāsim kī zail meñ
asbāb-e-dil-shikastagī paimān hī kā hai
jab tak ba-dosh rahtā hai rahtā huuñ gāmzan
merā safar haqīqatan sāmān hī kā hai
utre vo nāv-e-shauq se ho Dūbnā jise
sāhil mizāj-e-bahr kā tūfān hī kā hai
āvārgāñ ke vāste kirdār dasht kā
anjām-kār hīta-e-zindān hī kā hai
jā-e-panāh us kī koī dūsrī nahīñ
'ḳhāvar' kahīñ kā hai to bayābān hī kā hai
Top Urdushayar.com