naafe  hai  kuchh  to  vo  kisī  faizān  hī  kā  hai
varna  ta.alluqā  mirā  nuqsān  hī  kā  hai
kulfat  hai  sab  kī  sab  ye  tavaqqo  ke  naam  kī
jo  bhī  kiyā  dharā  hai  ye  imkān  hī  kā  hai
māl-o-manāl  dast-gah-e-hādsāt  kā
rahte  haiñ  gar  bahāl  to  ausān  hī  kā  hai
manzar  vo  hai  ki  jo  kabhī  shashdar  na  kar  sake
hairat  ye  hai  ki  dīda-e-hairān  hī  kā  hai
ilzām  ḳhud  huuñ  maiñ  yahāñ  hastī  ke  naam  par
merā  vajūd  asl  meñ  bohtān  hī  kā  hai
tafsīl  meñ  to  simTā  huā  hī  thā  inkisār
ijmāl  bhī  ye  ijz  ke  unvān  hī  kā  hai
āḳhir  ayaañ  huā  ki  marāsim  kī  zail  meñ
asbāb-e-dil-shikastagī  paimān  hī  kā  hai
jab  tak  ba-dosh  rahtā  hai  rahtā  huuñ  gāmzan
merā  safar  haqīqatan  sāmān  hī  kā  hai
utre  vo  nāv-e-shauq  se  ho  Dūbnā  jise
sāhil  mizāj-e-bahr  kā  tūfān  hī  kā  hai
āvārgāñ  ke  vāste  kirdār  dasht  kā
anjām-kār  hīta-e-zindān  hī  kā  hai
jā-e-panāh  us  kī  koī  dūsrī  nahīñ
'ḳhāvar'  kahīñ  kā  hai  to  bayābān  hī  kā  hai