atā  ke  zor-e-asar  se  bhī  TuuT  saktī  thī
vo  shāḳh  bār-e-samar  se  bhī  TuuT  saktī  thī
maiñ  dil  meñ  sach  kī  numū  se  thā  ḳhauf  khāyā  huā
ki  siip  tāb-e-gohr  se  bhī  TuuT  saktī  thī
usī  pe  thā  mire  har  ek  tiir  kā  takiya
kamāñ  jo  khīñch  ke  Dar  se  bhī  TuuT  saktī  thī
paḌī  thī  aah  ko  hī  ḳhud-numā.ī  kī  varna
ḳhamoshī  dīda-e-tar  se  bhī  TuuT  saktī  thī
juḌe  hue  the  bahut  vasvase  ḳhayāloñ  se
so  niiñd  ḳhvāb  ke  shar  se  bhī  TuuT  saktī  thī
diloñ  kī  shīshagarī  kār-gah-e-hastī  meñ
hunar  ke  zer  o  zabar  se  bhī  TuuT  saktī  thī
ye  aab  vo  thā  ki  ātish  bhaḌak  na  paane  kī
rivāyat  ek  sharar  se  bhī  TuuT  saktī  thī
maiñ  ek  aisā  kināra  thā  jis  kī  qurbat  ko
vo  lahar  apne  bhañvar  se  bhī  TuuT  saktī  thī
har  ek  lashkarī  itrā  rahā  thā  jis  pe  vo  teġh
ḳhayāl-hā-e-zarar  se  bhī  TuuT  saktī  thī
zamīñ  na  hotī  agar  is  kamāl  kī  hāmil
qayāmat  āsmāñ  par  se  bhī  TuuT  saktī  thī
tū  ḳhush-nasīb  thā  varna  tirī  anā  kī  fasīl
Kamala-e-sirf-e-nazar  se  bhī  TuuT  saktī  thī