chalte  chalte  rāhoñ  se  kaT  jaanā  paḌtā  hai
hote  hote  manzar  se  haT  jaanā  paḌtā  hai
dekhnā  paḌ  jaatā  hai  ḳhud  ko  kar  ke  ek  tamāshā.ī
apnī  dhuul  uḌā  kar  ḳhud  aT  jaanā  paḌtā  hai
ḳhattātī  se  duur  bhaTakne  vaale  soch  ke  dāman  ko
kore  kāġhaz  ke  hāthoñ  phaT  jaanā  paḌtā  hai
sāzīna  jab  qadam  baḌhātā  hai  us  kī  pāzeboñ  kā
kānoñ  ko  jhankār  kī  aahaT  jaanā  paḌtā  hai
ḳhvāhish  mar  jaa.e  to  us  kī  chitā  ko  aag  dikhāne  meñ
dhaḌkan  dhaḌkan  dil  ke  marghaT  jaanā  paḌtā  hai
taab  nahīñ  ho  jis  meñ  kāñch  ko  reza  reza  karne  kī
us  patthar  ko  TukḌoñ  meñ  baT  jaanā  paḌtā  hai
ḳhud  ke  mutlāshī  ko  ek  na  ik  din  āḳhir-kār  apne
bhūle-bisre  hue  kī  chaukhaT  jaanā  paḌtā  hai
sachchā.ī  vo  jañg  hai  jis  meñ  ba.az  auqāt  sipāhī  ko
aap  muqābil  apne  hī  DaT  jaanā  paḌtā  hai
ik  chiñgārī  aag  lagā  jaatī  hai  ban  meñ  aur  kabhī
ek  kiran  se  zulmat  ko  chhaT  jaanā  paḌtā  hai
baat  riyā-kārī  ke  bin  ban  paatī  nahīñ  hai  'ḳhāvar'
is  dozaḳh  meñ  karvaT  karvaT  jaanā  paḌtā  hai