qadam  qadam  kā  ilāqa  hai  nā-ravā  tak  hai
fusūn-e-jaur-o-jafā  pesha  jā-ba-jā  tak  hai
gar  ek  baar  kā  honā  alam  ġhanīmat  thā
sitam  to  ye  hai  ki  dar-pesh  bār-hā  tak  hai
diye  kī  lau  se  nahīñ  vāsta  kisī  kā  koī
agar  kisī  kā  koī  hai  to  phir  havā  tak  hai
amal  hai  ḳhud  pe  amal-dār  tā  dam-e-mauqūf
aur  is  kā  radd-e-amal  apne  iltavā  tak  hai
sadā-e-shor-o-shaġhab  hai  idhar  samā.at  tak
shunīd  gird  o  javānib  idhar  sadā  tak  hai
magar  ye  kaun  batā.e  safar-e-navardoñ  ko
ki  had  dasht-e-junūñ  un  ke  iktifā  tak  hai
ai  be-qarāri-e-dil  mujh  ko  ye  ḳhabar  hī  na  thī
ki  jo  qarār  kī  sarhad  hai  ittiqā  tak  hai
ḳhudā  se  baad  meñ  rakkhe  hue  hai  duniyā  ko
vo  fāsla  jo  hathelī  se  ik  duā  tak  hai
kahīñ  pare  kī  hai  hājat-ravā.ī  se  merī
mirā  savāl  zarūrat  se  māvarā  tak  hai
hai  tū  hī  aañkh  mirī  ai  jamāl-e-pesh-e-nazar
so  ye  tamāsha  mirā  ik  tirī  razā  tak  hai
nahīñ  hai  koī  bhī  hatmī  yahāñ  had-e-mālūm
har  ek  intihā  ik  aur  intihā  tak  hai