Khaavar Jilani

hangam-e-hawas-kar mohabbat ke liye hai

Khaavar Jilani

hañgām-e-havas-kār mohabbat ke liye hai
hai jo bhī kashākash vo nadāmat ke liye hai
jiinā to alag baat hai marnā bhī yahāñ par
har shaḳhs kī apnī hī zarūrat ke liye hai
milne tujhe aayā huuñ na milne ke liye hī
aamad ye mirī asl meñ ruḳhsat ke liye hai
āḳhir ko yahī kār-garī-e-barf pighal kar
maujoñ ke tavassul se harārat ke liye hai
maiñ haath na aane kā huuñ tere ai zamāne
ya.anī mirā honā tirī hasrat ke liye hai
maiñ niiñd kā dar khole hue huuñ tirī ḳhātir
har ḳhvāb mirā terī sahūlat ke liye hai
vo hai ki nazar aatā nahīñ aur kisī ko
vo hai ki faqat merī basārat ke liye hai
qudarat hī ko manzūr hai kuchh aur vagarna
har lamha-e-ā.inda qayāmat ke liye hai
imkān ne jo shahr basāyā hai vahāñ par
har chashm-e-tamāshā na.ī hairat ke liye hai
Top Urdushayar.com