hañgām-e-havas-kār  mohabbat  ke  liye  hai
hai  jo  bhī  kashākash  vo  nadāmat  ke  liye  hai
jiinā  to  alag  baat  hai  marnā  bhī  yahāñ  par
har  shaḳhs  kī  apnī  hī  zarūrat  ke  liye  hai
milne  tujhe  aayā  huuñ  na  milne  ke  liye  hī
aamad  ye  mirī  asl  meñ  ruḳhsat  ke  liye  hai
āḳhir  ko  yahī  kār-garī-e-barf  pighal  kar
maujoñ  ke  tavassul  se  harārat  ke  liye  hai
maiñ  haath  na  aane  kā  huuñ  tere  ai  zamāne
ya.anī  mirā  honā  tirī  hasrat  ke  liye  hai
maiñ  niiñd  kā  dar  khole  hue  huuñ  tirī  ḳhātir
har  ḳhvāb  mirā  terī  sahūlat  ke  liye  hai
vo  hai  ki  nazar  aatā  nahīñ  aur  kisī  ko
vo  hai  ki  faqat  merī  basārat  ke  liye  hai
qudarat  hī  ko  manzūr  hai  kuchh  aur  vagarna
har  lamha-e-ā.inda  qayāmat  ke  liye  hai
imkān  ne  jo  shahr  basāyā  hai  vahāñ  par
har  chashm-e-tamāshā  na.ī  hairat  ke  liye  hai