behtar  kī  gunjā.ish  baaqī  rah  jaatī  hai
kamī  kahīñ  poshīda  koī  rah  jaatī  hai
man-chāhī  tasvīr  banāne  meñ  mujh  se
hunar-varī  meñ  kuchh  kotāhī  rah  jaatī  hai
sailāb  aa  jaane  par  us  bastī  kī
saarī  puḳhta-kārī  kachchī  rah  jaatī  hai
banñe  vaalī  baat  vahī  hotī  hai  vo  jo
bante  bante  yaksar  bantī  rah  jaatī  hai
rah  jaatī  hai  aate  aate  aatī  saa.at
honī  hote  hote  hotī  rah  jaatī  hai
vaqt  guzar  jaatā  hai  lekin  dil  kī  ranjish
dil  meñ  baiThī  kī  baiThī  hī  rah  jaatī  hai
chalte  rah  jaate  haiñ  roz  o  shab  ke  dhande
gañgā  ulTī  sīdhī  bahtī  rah  jaatī  hai
phāñk  liye  jaane  ko  ḳhaak  masāfat  kī
rāhoñ  par  hī  chhānī-phaTkī  rah  jaatī  hai
aa  jaatī  hai  birhā  aur  dulhniyāñ  chhat  par
apne  giile  baal  sukhātī  rah  jaatī  hai