Khaavar Jilani

kuchh bacha le abhi aansu mujhe rone wale

Khaavar Jilani

kuchh bachā le abhī aañsū mujhe rone vaale
sānehe aur bhī haiñ rū-numā hone vaale
vaqt ke ghaaT utar kar nahīñ vāpas lauTe
daaġh malbūs-e-mah-o-mahr ke dhone vaale
daa.em ābād rahe dār-e-fanā ke baasī
fikr meñ rūh-e-baqāyāb samone vaale
thartharātī rahe ab ḳhvāh hamā-vaqt zamīñ
so ga.e ḳhāk-e-abad oḌh ke sone vaale
jis pe bhī paañv dharā maiñ ne usī naav meñ
aa.e āsār nazar ḳhud ko Dubone vaale
ab liye phirtā hai kyā dāman-e-sad-chāk apnā
kyā hue ab vo tire siine pirone vaale
jā nikaltā hai achānak vahīñ rasta merā
dar pa-e-pā hoñ jahāñ ḳhaar chubhone vaale
gard hai haath meñ un ke mirī kusht-e-zar-ḳhez
ḳhār-o-ḳhas se jo alāva nahīñ bone vaale
ye bhī ik turfa tamāsha hai ki haiñ andhiyāre
resha-e-shab meñ sitāroñ ko pirone vaale
kar ga.e ḳhushk bharī jhiil ta.assuf ke kañval
suukh kar kāñTā hue raat bhigone vaale
de gayā hai jo hameñ ahd-e-marāsim us kā
us ḳhazāne ko nahīñ ham nahīñ khone vaale
Top Urdushayar.com