be-vajah  aap  hameñ  kaash  na  yuuñ  Thukrāte
aazmā  lete  yā  dastūr  badalte  jaate
laakh  chāhā  ki  ho  pahchān  koī  apnī  bhī
kaash  ham  aap  ke  hī  naam  se  jaane  jaate
ye  bhī  ehsāñ  na  kiyā  aap  ne  rūTho  ham  se
ik  bahāna  to  milā  hotā  manāne  aate
ḳhuub  gahrī  jo  lagī  choT  to  ham  ne  jaanā
vaqt  lagtā  hai  kisī  dard  ko  jaate  jaate