na  maiñ  vo  rahā  kyā  se  kyā  ho  gayā
kyā  mile  tum  mujhe  maiñ  ḳhudā  ho  gayā
vaqt  kaaTe  na  kaTtā  thā  kal  tak  mirā
dil  hai  masrūf  jab  se  fidā  ho  gayā
ik  tirā  naam  hī  bas  mujhe  yaad  hai
āj-kal  ye  mirā  falsafa  ho  gayā
har  kisī  kī  zabāñ  pe  hai  charche  mire
maano  aḳhbār  maiñ  aaj  kā  ho  gayā
us  ke  dar  pe  shab-o-roz  jā  baiThnā
kaam  ham  se  yahī  ik  baḌā  ho  gayā
nā  mile  aise  shā.ir  zamāne  hue
ek  'ġhālib'  thā  maiñ  dūsrā  ho  gayā