Jatinder Vir Yakhmi jayaveer

muskurane ka yahi anjam hai

Jatinder Vir Yakhmi jayaveer

Khanna, Punjab, India

1946
muskurāne kā yahī anjām hai
sab ke hoñToñ par tirā hī naam hai
thī kashish kī aap meñ hī kuchh kamī
ġhair pe kyuuñ be-vajah ilzām hai
ḳhat kā mazmūñ hai mire hī vāste
go lifāfe par kisī kā naam hai
ḳhvāb meñ bhī ye safar jaarī rahe
zindagī āvārgī kā naam hai
log kyuuñ khul ke kabhī milte nahīñ
is shahar meñ har koī bad-nām hai
rutbe-dārī kī lagī ik hoḌ hai
qābiliyyat bas barā.e naam hai
mai-kade se duur hī rahtā huuñ maiñ
tishnagī hī bas mirā in.aam hai
jaam ho mahfil, na ho saaqī koī
ham ko apnī be-ḳhudī se kaam hai
Top Urdushayar.com