muskurāne  kā  yahī  anjām  hai
sab  ke  hoñToñ  par  tirā  hī  naam  hai
thī  kashish  kī  aap  meñ  hī  kuchh  kamī
ġhair  pe  kyuuñ  be-vajah  ilzām  hai
ḳhat  kā  mazmūñ  hai  mire  hī  vāste
go  lifāfe  par  kisī  kā  naam  hai
ḳhvāb  meñ  bhī  ye  safar  jaarī  rahe
zindagī  āvārgī  kā  naam  hai
log  kyuuñ  khul  ke  kabhī  milte  nahīñ
is  shahar  meñ  har  koī  bad-nām  hai
rutbe-dārī  kī  lagī  ik  hoḌ  hai
qābiliyyat  bas  barā.e  naam  hai
mai-kade  se  duur  hī  rahtā  huuñ  maiñ
tishnagī  hī  bas  mirā  in.aam  hai
jaam  ho  mahfil,  na  ho  saaqī  koī
ham  ko  apnī  be-ḳhudī  se  kaam  hai