āshiyāñ  apnā  binā  dīvār-o-dar  hotā  nahīñ
be-muravvat  kaash  ye  terā  shahar  hotā  nahīñ
kyuuñ  pashemāñ  ho  ke  tum  ne  dard-e-dil  mujh  ko  diyā
har  gunah  sañgīn  aisā  jaan  kar  hotā  nahīñ
aap  kā  thā  saath  to  thī  zindagī  par  kyā  kaheñ
ab  safar  aisā  hai  jis  meñ  ham-safar  hotā  nahīñ
hai  ġhazab  Dhātā  ajab  ye  kār-o-bār-e-intizār
raat  guzre  taare  gin,  par  din  basar  hotā  nahīñ
aa.e  haiñ  sunte  ki  aisā  vaqt  bhī  aatā  hai  jab
ho  davā  yā  phir  duā  kuchh  kārgar  hotā  nahīñ
duniyā  se  laḌ  jā.iye  āsān  hai  kahnā  huzūr
dekhiye  har  shaḳhs  meñ  itnā  jigar  hotā  nahīñ