chhāne  hoñge  sahrā  jis  ne  vo  hī  jaan  sakā  hogā
miTTī  meñ  ham  jaise  mile  haiñ  kam  koī  ḳhaak  huā  hogā
ulTe  sīdhe  girte-paḌte  chal  paḌte  haiñ  is  liye  ham
manzil  par  le  jaane  vaalā  koī  to  naqsh-e-pā  hogā
itnī  saj-dhaj  se  jo  chale  the  qāfile  vo  haiñ  Thahar  ga.e
hogā  havā-e-sahrā  jaisā  aage  jo  bhī  gayā  hogā
kuchh  hone  se  an-hone  se  farq  to  paḌne  vaalā  nahīñ
ho  nahīñ  paayā  ab  tak  kuchh  bhī  hogā  bhī  to  kyā  hogā
muḌ  ke  jo  aa  nahīñ  paayā  hogā  us  kūche  meñ  jā  ke  'zafar'
ham  jaisā  be-bas  hogā  ham  jaisā  tanhā  hogā