zamīñ  se  chal  ke  to  pahuñchā  huuñ  āsmāñ  tak  maiñ
safar  kā  bojh  uThā.e  phirūñ  kahāñ  tak  maiñ
azal  vajūd  safar  rāste  kī  dhuñd  adam
qusūr-vār  huuñ  tartīb-e-dāstāñ  tak  maiñ
sukūn-e-zīst  ibārat  thā  jis  kī  yādoñ  se
bhulā  chukā  huuñ  vo  harf-e-qarār-e-jāñ  tak  maiñ
ye  soch  kar  na  koī  rāste  meñ  luT  jaa.e
diye  jalātā  chalā  kū-e-dilbarāñ  tak  maiñ
maiñ  zindagī  kī  ināyāt  se  nahīñ  mahrūm
qarīb  huuñ  ġham-e-dil  se  ġham-e-jahāñ  tak  maiñ
na  farsh  merā  Thikāna  na  arsh  merā  maqām
ye  aur  baat  zamīñ  par  huuñ  āsmāñ  tak  maiñ