sab  log  shaam  hote  hī  jab  apne  ghar  ga.e
sahrā  ko  ham  bhī  shahr  se  phir  lauT  kar  ga.e
achchhe  dinoñ  kī  aas  meñ  jaane  kidhar  ga.e
jitne  the  mere  ḳhvāb  suhāne  bikhar  ga.e
muusā  jo  ban  chale  the  avāmī  ḳhitāb  meñ
sāhir  kī  rassiyoñ  se  vahī  log  Dar  ga.e
gahrā.ī  nāpne  meñ  the  kuchh  log  munhamik
kuchh  log  pāniyoñ  meñ  bilā  ḳhauf  utar  ga.e
ahl-e-junūñ  kī  jab  na  rahī  chāk-dāmanī
shāhān-e-ḳhush-libās  se  rishte  sañvar  ga.e
aisā  mujassama  thā  vo  ḳhush-pairahan  ki  bas
nañge  ġharīb  bachche  vahīñ  par  Thahar  ga.e
ai  ḳhāk-e-hind  bol  ki  tū  jāntī  hai  sab
kuchh  to  batā  kahāñ  mire  la.al-o-gohar  ga.e
kahte  haiñ  un  se  pahle  ye  gulshan  thā  ḳhār-zār
vo  kaun  log  the  jo  yahāñ  se  guzar  ga.e
jis  ke  liye  ḳhirad  ko  thī  sardār  kī  talāsh
ahl-e-junūñ  vo  kaam  sar-e-dār  kar  ga.e
ḳhud  apne  ehtisāb  kī  fursat  kahāñ  milī
kuchh  bhī  huā  to  ġhairoñ  pe  ilzām  dhar  ga.e
lashkar  ko  jaan  de  ke  milā  bhī  to  kyā  milā
fat.h-o-zafar  ke  taaj  to  shāhoñ  ke  sar  ga.e
maiñ  ne  kahā  mutālba  koī  nahīñ  mirā
kahne  lage  ki  aap  to  bilkul  sudhar  ga.e