bahut  zindagī  kā  bhalā  chāhtā  huuñ
ba-alfāz-e-dīgar  qazā  chāhtā  huuñ
mirī  vahshatoñ  kā  sabab  kaun  samjhe
ki  maiñ  gum-shuda  qāfila  chāhtā  huuñ
butoñ  se  huuñ  bezār  itnā  ki  bas  ab
ḳhudā  hī  ḳhudā  bas  ḳhudā  chāhtā  huuñ
ye  duniyā  ye  uqbā  to  sab  chāhte  haiñ
magar  maiñ  kuchh  is  ke  sivā  chāhtā  huuñ
judāgāna  haiñ  ab  yazīdī  mazālim
so  maiñ  karbalā  bhī  judā  chāhtā  huuñ
anāsir  kī  zanjīr  ko  toḌ  kar  maiñ
fanā  chāhtā  huuñ  baqā  chāhtā  huuñ
mujhe  shak  hai  hone  na  hone  pe  'ḳhālid'
agar  huuñ  to  apnā  patā  chāhtā  huuñ