Khalid Mubashshir

zaKHmon ka ek silsila achchha nahin laga

Khalid Mubashshir

Kishanganj, Bihar, India

1980
zaḳhmoñ kā ek silsila achchhā nahīñ lagā
jarrāh ko ye tajraba achchhā nahīñ lagā
us ne kiyā salām to achchhā lagā magar
bas ye ki muñh kā zāviya achchhā nahīñ lagā
mere junūñ ko vasl kī qurbat nigal ga.ī
furqat se itnā fāsla achchhā nahīñ lagā
tum ne jo matn pesh kiyā mustanad to thā
lekin tumhārā hāshiya achchhā nahīñ lagā
ā.īna-gar ke haath meñ patthar haiñ kis liye
''shāyad unheñ bhī aa.ina achchhā nahīñ lagā''
dasht-e-junūñ se aa ga.e shahr-e-ḳhirad meñ ham
dil ko magar ye sāneha achchhā nahīñ lagā
'ḳhālid' sunā jo ruuh kā naġhma to phir kabhī
bulbul ko koī zamzama achchhā nahīñ lagā
Top Urdushayar.com