ġharīq-e-zikr-e-ḳhudā  din  ko  ḳhānqāh  meñ  thā
jo  shaiḳh  raat  ko  Duubā  huā  gunāh  meñ  thā
tamām  sañg-dilī  yā  ki  phir  ġhurūr-o-hasham
kuchh  aur  is  ke  sivā  bhī  jahāñ-panāh  meñ  thā
hurūf-e-makr  tire  lab  pe  the  magar  zālim
mujhe  fareb  bhī  khānā  vafā  kī  raah  meñ  thā
tumhāre  qaul-o-qasam  par  fareb  kyā  khātā
tumhārā  tarz-e-adā  bhī  mirī  nigāh  meñ  thā
Tapak  ke  dīda-e-nam  se  sadā.eñ  detā  hai
jo  ek  harf-e-tamannā  dil-e-tabāh  meñ  thā
mujhe  to  raas  ai  'ḳhālid'  yahī  zamīñ  aa.ī
ye  aur  baat  mirā  zikr  mahr-o-māh  meñ  thā