chashm  ko  sauñpī  ga.ī  ḳhidmat-e-ḳhvāb
dil  pe  taarī  hai  ajab  hālat-e-ḳhvāb
ḳhvāb  ab  ke  na  haqīqat  ho  jaa.e
ab  ke  aisī  hai  mirī  shiddat-e-ḳhvāb
maiñ  ne  paḌh  lī  haiñ  tirī  bhī  āñkheñ
sirf  mujh  par  na  lagā  tohmat-e-ḳhvāb
tujh  ko  muzhda  ho  mirī  aañkh  ki  ab
mujh  meñ  baaqī  na  rahī  himmat-e-ḳhvāb
ḳhvāb  maḳhfī  hī  rahe  sab  se  yahāñ
kaun  kartā  hai  bhalā  izzat-e-ḳhvāb
merī  āñkhoñ  meñ  guhar  haiñ  kitne
mujh  ko  hāsil  hai  bahut  daulat-e-ḳhvāb
tum  ki  jalvat  se  gurezāñ  ho  bahut
ab  to  aa  jaao  ki  hai  ḳhalvat-e-ḳhvāb
us  ke  pahre  haiñ  mirī  āñkhoñ  par
us  ko  ma.alūm  hai  kyā  quvvat-e-ḳhvāb
kitnā  be-ḳhvāb  kiyā  hai  tū  ne
chhoḌ  pīchhā  mirā  ai  āfat-e-ḳhvāb
bas  kaleja  hī  chabā  jaatī  hai
kitnī  ḳhuñḳhār  hai  ye  vahshat-e-ḳhvāb
kā.enāt  aur  hayāt  ai  'ḳhālid'
ḳhvāb  meñ  jaise  koī  sā.at-e-ḳhvāb