Mohsin Naqvi

phir wahi main hun wahi shahr-badar sannaTa

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996

phir vahī maiñ huuñ vahī shahr-badar sannāTā

mujh ko Das le na kahīñ ḳhāk-basar sannāTā

dasht-e-hastī meñ shab-e-ġham sahar karne ko

hijr vāloñ ne liyā raḳht-e-safar sannāTā

kis se pūchhūñ ki kahāñ hai mirā rone vaalā

is taraf maiñ huuñ mire ghar se udhar sannāTā

sadāoñ ke bhañvar meñ mujhe āvāz to de

tujh ko degā mire hone ḳhabar sannāTā

us ko hañgāma-e-manzil ḳhabar kyā doge

jis ne paayā ho sar-e-rāhguzar sannāTā

hāsil-e-kunj-e-qafas vahm-ba-kaf tanhā.ī

raunaq-e-shām-e-safar tā-ba-sahar sannāTā

qsimat-e-shā.ir-e-sīmāb-sifat dasht maut

qīmat-e-reza-e-almās-e-hunar sannāTā

jān-e-'mohsin' mirī taqdīr meñ kab likkhā hai

Dūbtā chāñd tirā qurb-e-gajar sannāTā

Top Urdushayar.com