itnī  muddat  ba.ad  mile  ho
kin  sochoñ  meñ  gum  phirte  ho
itne  ḳhā.if  kyuuñ  rahte  ho
har  aahaT  se  Dar  jaate  ho
tez  havā  ne  mujh  se  pūchhā
ret  pe  kyā  likhte  rahte  ho
kaash  koī  ham  se  bhī  pūchhe
raat  ga.e  tak  kyuuñ  jaage  ho
meñ  dariyā  se  bhī  Dartā  huuñ
tum  dariyā  se  bhī  gahre  ho
kaun  sī  baat  hai  tum  meñ  aisī
itne  achchhe  kyuuñ  lagte  ho
pīchhe  muḌ  kar  kyuuñ  dekhā  thā
patthar  ban  kar  kyā  takte  ho
jaao  jiit  kā  jashn  manāo
meñ  jhūTā  huuñ  tum  sachche  ho
apne  shahar  ke  sab  logoñ  se
merī  ḳhātir  kyuuñ  uljhe  ho
kahne  ko  rahte  ho  dil  meñ
phir  bhī  kitne  duur  khaḌe  ho
raat  hameñ  kuchh  yaad  nahīñ  thā
raat  bahut  hī  yaad  aa.e  ho
ham  se  na  pūchho  hijr  ke  qisse
apnī  kaho  ab  tum  kaise  ho
'mohsin'  tum  badnām  bahut  ho
jaise  ho  phir  bhī  achchhe  ho