Mohsin Naqvi

ashk apna ki tumhaara nahin dekha jata

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
ashk apnā ki tumhārā nahīñ dekhā jaatā
abr kī zad meñ sitārā nahīñ dekhā jaatā
apnī shah-e-rag kā lahū tan meñ ravāñ hai jab tak
zer-e-ḳhanjar koī pyārā nahīñ dekhā jaatā
mauj-dar-mauj ulajhne kī havas be-ma.anī
Dūbtā ho to sahārā nahīñ dekhā jaatā
tere chehre kī kashish thī ki palaT kar dekhā
varna sūraj to dobāra nahīñ dekhā jaatā
aag kī zid pe na jā phir se bhaḌak saktī hai
raakh kī tah meñ sharāra nahīñ dekhā jaatā
zaḳhm āñkhoñ ke bhī sahte the kabhī dil vaale
ab to abrū kā ishārā nahīñ dekhā jaatā
kyā qayāmat hai ki dil jis kā nagar hai 'mohsin'
dil pe us kā bhī ijāra nahīñ dekhā jaatā
Top Urdushayar.com