ashk  apnā  ki  tumhārā  nahīñ  dekhā  jaatā
abr  kī  zad  meñ  sitārā  nahīñ  dekhā  jaatā
apnī  shah-e-rag  kā  lahū  tan  meñ  ravāñ  hai  jab  tak
zer-e-ḳhanjar  koī  pyārā  nahīñ  dekhā  jaatā
mauj-dar-mauj  ulajhne  kī  havas  be-ma.anī
Dūbtā  ho  to  sahārā  nahīñ  dekhā  jaatā
tere  chehre  kī  kashish  thī  ki  palaT  kar  dekhā
varna  sūraj  to  dobāra  nahīñ  dekhā  jaatā
aag  kī  zid  pe  na  jā  phir  se  bhaḌak  saktī  hai
raakh  kī  tah  meñ  sharāra  nahīñ  dekhā  jaatā
zaḳhm  āñkhoñ  ke  bhī  sahte  the  kabhī  dil  vaale
ab  to  abrū  kā  ishārā  nahīñ  dekhā  jaatā
kyā  qayāmat  hai  ki  dil  jis  kā  nagar  hai  'mohsin'
dil  pe  us  kā  bhī  ijāra  nahīñ  dekhā  jaatā