Mohsin Naqvi

qatl chhupte the kabhi sang ki diwar ke beach

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
qatl chhupte the kabhī sañg kī dīvār ke beach
ab to khulne lage maqtal bhare bāzār ke beach
apnī poshāk ke chhin jaane pe afsos na kar
sar salāmat nahīñ rahte yahāñ dastār ke beach
surḳhiyāñ amn kī talqīn meñ masrūf rahīñ
harf bārūd ugalte rahe aḳhbār ke beach
kaash is ḳhvāb kī ta.abīr kī mohlat na mile
sho.ale ugte nazar aa.e mujhe gulzār ke beach
Dhalte sūraj kī tamāzat ne bikhar kar dekhā
sar-kashīda mirā saayā saf-e-ashjār ke beach
rizq malbūs makāñ saañs maraz qarz davā
munqasim ho gayā insāñ inhī afkār ke beach
dekhe jaate na the aañsū mire jis se 'mohsin'
aaj hañste hue dekhā use aġhyār ke beach
Top Urdushayar.com