qatl  chhupte  the  kabhī  sañg  kī  dīvār  ke  beach
ab  to  khulne  lage  maqtal  bhare  bāzār  ke  beach
apnī  poshāk  ke  chhin  jaane  pe  afsos  na  kar
sar  salāmat  nahīñ  rahte  yahāñ  dastār  ke  beach
surḳhiyāñ  amn  kī  talqīn  meñ  masrūf  rahīñ
harf  bārūd  ugalte  rahe  aḳhbār  ke  beach
kaash  is  ḳhvāb  kī  ta.abīr  kī  mohlat  na  mile
sho.ale  ugte  nazar  aa.e  mujhe  gulzār  ke  beach
Dhalte  sūraj  kī  tamāzat  ne  bikhar  kar  dekhā
sar-kashīda  mirā  saayā  saf-e-ashjār  ke  beach
rizq  malbūs  makāñ  saañs  maraz  qarz  davā
munqasim  ho  gayā  insāñ  inhī  afkār  ke  beach
dekhe  jaate  na  the  aañsū  mire  jis  se  'mohsin'
aaj  hañste  hue  dekhā  use  aġhyār  ke  beach