Mohsin Naqvi

tere badan se jo chhu kar idhar bhi aata hai

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996

tire badan se jo chhū kar idhar bhī aatā hai

misāl-e-rañg vo jhoñkā nazar bhī aatā hai

tamām shab jahāñ jaltā hai ik udaas diyā

havā raah meñ ik aisā ghar bhī aatā hai

vo mujh ko TuuT ke chāhegā chhoḌ jā.egā

mujhe ḳhabar thī use ye hunar bhī aatā hai

ujaaḌ ban meñ utartā hai ek jugnū bhī

havā ke saath koī ham-safar bhī aatā hai

vafā kaun manzil pe us ne chhoḌā thā

ki vo to yaad hameñ bhuul kar bhī aatā hai

jahāñ lahū ke samundar had Thahartī hai

vahīñ jazīra-e-lāl-o-guhar bhī aatā hai

chale jo zikr farishtoñ pārsā.ī

to zer-e-bahs maqām-e-bashar bhī aatā hai

abhī sināñ ko sambhāle raheñ adū mere

ki un safoñ meñ kahīñ merā sar bhī aatā hai

kabhī kabhī mujhe milne bulandiyoñ se koī

shuā-e-sub.h sūrat utar bhī aatā hai

isī liye maiñ kisī shab na so sakā 'mohsin'

vo māhtāb kabhī baam par bhī aatā hai

Top Urdushayar.com