ab  vo  tūfāñ  hai  na  vo  shor  havāoñ  jaisā
dil  kā  aalam  hai  tire  ba.ad  ḳhalāoñ  jaisā
kaash  duniyā  mire  ehsās  ko  vāpas  kar  de
ḳhāmushī  kā  vahī  andāz  sadāoñ  jaisā
paas  rah  kar  bhī  hamesha  vo  bahut  duur  milā
us  kā  andāz-e-taġhāful  thā  ḳhudāoñ  jaisā
kitnī  shiddat  se  bahāroñ  ko  thā  ehsās-e-ma.āl
phuul  khil  kar  bhī  rahā  zard  ḳhizāoñ  jaisā
kyā  qayāmat  hai  ki  duniyā  use  sardār  kahe
jis  kā  andāz-e-suḳhan  bhī  ho  gadāoñ  jaisā
phir  tirī  yaad  ke  mausam  ne  jagā.e  mahshar
phir  mire  dil  meñ  uThā  shor  havāoñ  jaisā
bārhā  ḳhvāb  meñ  pā  kar  mujhe  pyāsā  'mohsin'
us  kī  zulfoñ  ne  kiyā  raqs  ghaTāoñ  jaisā