fazā  kā  habs  shagūfoñ  ko  baas  kyā  degā
badan-darīda  kisī  ko  libās  kyā  degā
ye  dil  ki  qahat-e-anā  se  ġharīb  Thahrā  hai
mirī  zabāñ  ko  zar-e-iltimās  kyā  degā
jo  de  sakā  na  pahāḌoñ  ko  barf  kī  chādar
vo  merī  bāñjh  zamīñ  ko  kapās  kyā  degā
ye  shahr  yuuñ  bhī  to  dahshat  bharā  nagar  hai  yahāñ
diloñ  kā  shor  havā  ko  hirās  kyā  degā
vo  zaḳhm  de  ke  mujhe  hausla  bhī  detā  hai
ab  is  se  baḌh  ke  tabī.at-shanās  kyā  degā
jo  apnī  zaat  se  bāhar  na  aa  sakā  ab  tak
vo  pattharoñ  ko  matā-e-havās  kyā  degā
vo  mere  ashk  bujhā.egā  kis  tarah  'mohsin'
samundaroñ  ko  vo  sahrā  kī  pyaas  kyā  degā